sannate ka aalam qabr men hai hai khvab-e-adam aram nahin
imkan-e-numud-e-subh nahin ummid-e-charagh-e-sham nahin
dil naame ke shak le purze kiya ai vaae nasibe ka ye likha
peshani par un ki mohr nahin sar-name pe mera naam nahin
jaate hain jo ujde zinda chaman is bagh-e-jahan ki vajh ye hai
gulzar ye jis gulfam ka hai us baagh men vo gulfam nahin
bichh jaenge bulbul aa ke hazaron tuut padenge jaal ye hai
sayyad gulabi pahne hai kapde chadar-e-gul hai daam nahin
is najd men khauf ai laila na kar us gham-zada ki le ja ke khabar
majnun se tira vahshi hai tira be-chara koi zirgham nahin
agah kiya hai dil ko hamare kis ne tumhari khubiyon se
insaf karo munsif ho tumhin phir kya hai jo ye ilham nahin
dil dete hi un ko ghulne lage nazron men ajal ke tulne lage
aghaz-e-mohabbat se ye khula chahat ka ba-khair anjam nahin
aalam hai ajab giti-e-adam ka chaar taraf hai alam-e-hu
asaish-e-jan-o-ruh nahin rahat ka koi hangam nahin
jaana hai adam ki raah hamen hona hai fana-fillah hamen
lete hain yahan dam chand nafas hasti se hamen kuchh kaam nahin
phir aankh kabhi khulne ki nahin niind aaegi ik din aisi hamen
hona hai yahi soche hain jo ham ye khvab-o-khayal-e-kham nahin
chaurang nahin kyuun khelte ab kis kushte pe rahm aaya hai tumhen
khun-reziyon ka kyuun shauq nahin kyuun zeb-e-kamar samsam nahin
aqlim-e-khamoshan se to sada ik gham-zada aati hai ye sada
hain saikdon shahanshah yahan par hukm nahin ahkam nahin
duniya men jo tha taabe tha jahan maalum nahin pahuncha vo kahan
ibrat ka mahal kahte hain ise ab gor men bhi bahram nahin
bulbul ki fughan par khanda-zani ghunchon ne jo ki pazhmurda hue
sach hai ki hazin-o-gham-zada ho hansne ka ba-khair anjam nahin
didar ke bhuke tere jo hain hai khatm unhin par nafs-kushi
kuchh khvahish-o-fikr-e-faut nahin duniya ke maze se kaam nahin
tum qabr men kyuun uth baithe ‘sharaf’ aram karo aram karo
yaran-e-vatan rote hain tumhen kuchh hashr nahin kohram nahin
Leave a Reply