ain-e-vafa itna bhi saada nahin hota
har baar masarrat ka iaada nahin hota
ye kaisi sadaqat hai ki pardon men chhupi hai
ikhlas ka to koi labada nahin hota
jangal ho ki sahra kahin rukna hi padega
ab mujh se safar aur ziyada nahin hota
ik aanch ki pahle bhi kasar rahti rahi hai
kyuun satvan dar mujh pe kushada nahin hota
sach baat mire munh se nikal jaati hai aksar
har-chand mira aisa irada nahin hota
ai harf-e-sana sehr-e-musallam tira tujh se
badh kar to koi saghar-e-bada nahin hota
afsana-e-afsun-e-javani ke alava
kis baat ka duniya men iaada nahin hota
suraj ki rifaqat men chamak uthta hai chehra
‘shabnam’ ki tarah se koi saada nahin hota
Leave a Reply