rusva bhi hue jaam paTakna bhi na aaya
rindon ko saliqe se bahakna bhi na aaya
vo log miri tarz-e-safar janch rahe hain
manzil ki taraf jin ko humakna bhi na aaya
tha jin men saliqa vo bhari bazm men ro.e
ham ko to kahin chhup ke sisakna bhi na aaya
ham aise bala-nosh ki chhalkate hi guzri
tum aise tunuk-zarf chhalakna bhi na aaya
ham jaag rahe the so abhi jaag rahe hain
ai zulmat-e-shab tujh ko thapakna bhi na aaya
lalcha.i koi zulf na machla koi daman
is baagh ke phulon ko mahakna bhi na aaya
kam-baḳht su-e-dair-o-haram bhaag rahi hain
gulshan ki havaon ko sanakna bhi na aaya
lahrati zara pyaas zara kaan hi bajte
in ḳhali kaToron ko khanakna bhi na aaya
Leave a Reply