• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tod Lenge Har Ek Shai Se Rishta Tod dene Ki Naubat To Aae

Tod Lenge Har Ek Shai Se Rishta Tod dene Ki Naubat To Aae

sahir-ludhianvi

tod lenge har ik shai se rishta tod dene ki naubat to aae

ham qayamat ke khud muntazir hain par kisi din qayamat to aae

ham bhi suqrat hain ahd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jaaen yaaro

zahr ho ya mai-e-atishin ho koi jam-e-shahadat to aae

ek tahzib hai dosti ki ek meyar hai dushmani ka

doston ne muravvat na sikhi dushmanon ko adavat to aae

rind raste men ankhen bichhaen jo kahe bin sune maan jaaen

naseh-e-nek-tinat kisi shab su-e-ku-e-malamat to aae

ilm o tahzib tarikh o mantiq log sochenge in masalon par

zindagi ke mashaqqat-kade men koi ahd-e-faraghat to aae

kaanp utthen qasr-e-shahi ke gumbad thartharae zamin mabadon ki

kucha-gardon ki vahshat to jaage gham-zadon ko baghavat to aae

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Baat Kah Kar Hansa Gaya Mujhko

Damak Raha Tha Bahut Yun to Pairahan Us Ka

Diwanon Ke Pas Aae Hain Apni Si Samjhane Log

Kisi Suragh Se Kamre Mein Nur Utrega

Bharosa Har Kisi Ka Kho Chuke Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet