mujh ko aata hai tayammum na vazu aata hai
sajda kar leta huun jab samne tu aata hai
yuun to shikva bhi hamen aina-ru aata hai
hont sil jaate hain jab samne tu aata hai
haath dhoe hue huun nesti-o-hasti se
shaikh kya puchhta hai mujh se vazu aata hai
minnaten karti hai shokhi ki mana luun tujh ko
jab mire samne rutha hua tu aata hai
puchhte kya ho tamannaon ki halat kya hai
saans ke saath ab ashkon men lahu aata hai
yaar ka ghar koi kaaba to nahin hai ‘shair’
haae kam-bakht yahin marne ko tu aata hai
Leave a Reply