jis ka inkar bhi inkar na samjha jaa.e
ham se vo yar-e-tarah-dar na samjha jaa.e
itni kavish bhi na kar meri asiri ke liye
tu kahin mera giraftar na samjha jaa.e
ab jo Thahri hai mulaqat to is shart ke saath
shauq ko dar-ḳhur-e-iz.har na samjha jaa.e
naala bulbul ka jo sunta hai to khil uThta hai gul
ishq ko muft ki begar na samjha jaa.e
ishq ko shaad kare gham ka muqaddar badle
husn ko itna bhi muḳhtar na samjha jaa.e
baḌh chala aaj bahut had se junun-e-gustaḳh
ab kahin us se sar-e-dar na samjha jaa.e
dil ke lene se ‘salim’ us ko nahin hai inkar
lekin is tarah ki iqrar na samjha jaa.e
Leave a Reply