hina ke qaus-e-quzah ke shajar ke kya kya rang
vo aankh laa.i hai zanjir kar ke kya kya rang
tujhe ḳhabar nahin pahlu-e-mausam-e-gul se
chhalak rahe hain tiri chashm-e-tar ke kya kya rang
utar rahe hain miri hairaton ke angan men
faraz-e-shab se tulu-e-sahar ke kya kya rang
sar-e-visal tire kaif-o-kam se zahir hain
miri nazar pe kaf-e-kuza-gar ke kya kya rang
faza ḳhamosh hui phir bhi raqs karte hain
navah-e-jan men kisi ki nazar ke kya kya rang
safar men tark-e-masafat pe dil hua maa.il
masafaton men khule apne ghar ke kya kya rang
guman bahar ka hota hai ab ḳhizan pe ‘razi’
chura liye hain ḳhizan ne shajar ke kya kya rang
Leave a Reply