apni nazar men aap ko rusva na kar sake
ham dushmanon ke saath bhi dhoka na kar sake
sab raston ka ilm tha manzil qarib thi
afsos ham-safar ka irada na kar sake
ankhen asiir zehn giraftar lab ba-qufl
un ke huzur ek ishara na kar sake
un ka sitam to ḳhair bahut sah liya magar
un ke karam ka bojh gavara na kar sake
yaran-e-gham-gusar dilase tasalliyan
tinke the jin pe koi sahara na kar sake
likhte rahe junun ki hikayat ḳhun-chakan
lekin kisi pe raaz ye ifsha na kar sake
zulmat-parast charagh the aise bhi kuchh ‘raza’
jalte rahe magar jo ujala na kar sake
Leave a Reply