palaT kar dekhne ka mujh men yaara hi nahin tha
nahin aisa ki phir us ne pukara hi nahin tha
samundar ki har ik shai par hamari dastaras thi
ki tughyani bhi apni thi kinara hi nahin tha
vo ik lamha saza kaaTi ga.i thi jis ki ḳhatir
vo lamha to abhi ham ne guzara hi nahin tha
vo ban kar chand tab utra tha is dil ki zamin par
mohabbat ka jab ankhon men sitara hi nahin tha
vara-e-jism tha kuchh aur bhi us ke jilau men
faqat vo raushni ka isti.ara hi nahin tha
junun ke paanv men chhan kaisi dar aa.i ki main ne
abhi vahshat ko sahra men utara hi nahin tha
Leave a Reply