• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dekh Kar Har Dar-O-Diwar Ko Hairan Hona

Dekh Kar Har Dar-O-Diwar Ko Hairan Hona

dekh kar har dar-o-divar ko hairan hona

vo mira pahle-pahal daḳhil-e-zindan hona

qabil-e-did hai us ghar ka bhi viran hona

jis ke har gosha men maḳhfi tha bayaban hona

ji na uTThunga hai bekar pasheman hona

jaao ab ho chuka jo kuchh tha miri jaan hona

vahima mujh ko dikhata hai junun ke saman

nazar aata hai mujhe ghar ka bayaban hona

uf mire ujḌe hue ghar ki tabahi dekho

jis ke har zarre pe chhaya hai bayaban hona

hadse donon ye aalam men aham guzre hain

hadse donon ye aalam men aham guzre hain

mera marna tiri zulfon ka pareshan hona

al-hazar gor-e-ghariban ki Darauni raten

aur vo un ke ghane baal pareshan hona

rat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaya mujh ko

tha muqaddar men charagh-e-shab-e-hijran hona

kyuun na vahshat men bhi paband-e-mohabbat rahta

tha bayaban men mujhe qaidi-e-zindan hona

hoga ik vaqt men ye vaqi.a-e-tariḳhi

yaad rakhna mire kashane ka viran hona

kuchh na puchho shab-e-va.ada mire ghar ki raunaq

allah allah vo saman se saman hona

josh men le ke ik angḌa.i kisi ka kahna

tum ko aata hi nahin chak-gareban hona

un ki us koshish-e-be-had ka pata deta hai

charasazon ka mire laash pe giryan hona

alam-e-ishq ki fitrat men ḳhalal aata hai

maan luun hazrat-e-naseh ka gar insan hona

surḳh Dori tiri ankhon ki ilahi tauba

chahiye tha inhen paivast-e-rag-e-jan hona

ho chalen aap ke bimar ki ankhen be-nur

qahr tha sub.h ke taare ka numayan hona

main karun zabt idhar un ko pasina aa.e

chahiye yuun gham-e-pinhan ko numayan hona

allah allah ye saliqa tira ai sho.ala-e-tur

kis tarah tu ne chhupaya hai numayan hona

un se karta hai dam-e-naz.a vasiyyat ye ‘aziz’

ḳhalq ro.egi magar tum na pareshan hona

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Shahr-E-KHisht-O-Sang Mein Rahne Laga

abdul-ahad-saaz

Zikr Humse Be-Talab Ka Kya Talabgari Ke din

Ahl-E-Danish Ko KHabar Kya Kya Hai Pagal Ka Mizaj

Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad

poet

Hai Yaad Tujhse Mera Wo Sharh-E-Haal dena

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet