aarzu hai bahut kinare ki
der hai bas tere ishare ki
vo yahan aa.e aur chale bhi ga.e
kya zarurat thi nam-chare ki
ai havao udhar na le jaao
main lahar huun usi kinare ki
chand ka naam dijiye na mujhe
sirf parchha.in huun sitare ki
zindagi kya hai kuchh nahin hai bas
ek tasvir hai sharare ki
meri halat bhi aaj aisi hai
jaisi gardish men ik sitare ki
Leave a Reply