Yun Naqab-E-ruKH Muqabil Se uThi

yuuñ naqāb-e-ruḳh muqābil se uThī

chashm-e-sad-nazzāra mushkil se uThī

bāzgasht-e-shor-e-ġharqābī sahī

koī to āvāz sāhil se uThī

qāfile haiñ kitne darmāñda ḳhirām

gard rāhoñ se na manzil se uThī

thaam kar dil kyā uThe arbāb-e-dard

ik qayāmat terī mahfil se uThī

sar se bhī guzrī hai tūfāñ kī tarah

jab bhī koī mauj-e-ḳhūñ dil se uThī

chashm-e-nazzāra se mānind-e-hijāb

tohmat-e-nazzāra mushkil se uThī

Leave a Comment