sahib-e-taj-e-basirat huun main divana sahi
fikr shahana hai andaz faqirana sahi
zikr-e-ka.aba na sahi qissa-e-but-ḳhana sahi
husn-e-tafhim salamat koi afsana sahi
mun.akis zehn-o-nazar men hain ḳhad-o-ḳhal tire
tujh ko samjha to bahut hai tujhe dekha na sahi
sajda paband-e-ta.ayyun to nahin divane
hai agar bab-e-haram band to but-ḳhana sahi
hur-o-kausar ke tasavvur se kahan tak bahlen
nar-e-imroz hi de jannat-e-farda na sahi
nigah-e-dil ke ravabit se ham-ahang to hai
meri duniya tiri duniya se judagana sahi
munfarid phir bhi hai ai husn haqiqat us ki
zindagi ishq ki unvan-e-sad-afsana sahi
Leave a Reply