
Tariq Naeem
jiina kya hai pichhla qarz utaar raha huun
main to us ki baaqi umr guzar raha huun
aa ja.ega chaak pe chalna aur sambhalna
abhi to gil se apna-ap utaar raha huun
koi kab divar bana hai mere safar men
ḳhud hi apne raste ki divar raha huun
khul ja mujh par harf-e-tilism ki teri tarah se
ek zamana main bhi pur-asrar raha huun
tujh ko manana itna gar asan nahin hai
main bhi dil ki pahli baazi haar raha huun

Leave a Reply