amal ka radd-e-amal vaqt ka javab huun main
qubul kijiye qudrat ka intiḳhab huun main
aziyyaton ka safar sabr aur ḳhamoshi
abhi to saare mahazon pe kamyab huun main
tumhare shauq men shamil nahin junun abhi
tumhari tishna-labi ke liye sarab huun main
ana pe aa.i to Takra ga.i huun dariya se
bisat vaise miri kuchh nahin habab huun main
Leave a Reply