Mat Puchh Harf-E-Dard Ki Tafsir Kuchh Bhi Ho

mat pūchh harf-e-dard kī tafsīr kuchh bhī ho

vo ḳhvāb lā-javāb thā ta.abīr kuchh bhī ho

har naqsh ko miTā ke guzartī rahī havā

lauh-e-jahāñ pe vaqt kī tahrīr kuchh bhī ho

behtar nahīñ ki tujh ko mile kāġhzī libās

rañgoñ kā imtizāj hai tasvīr kuchh bhī ho

jab hukm ho gayā hai ki nāla-ba-lab raheñ

phir vahm kyā hai zahr kī tāsīr kuchh bhī ho

mere liye zamīñ kā tasavvur hai āsmāñ

pāband huuñ havāoñ kā taqdīr kuchh bhī ho

maslak yahī thā shahr kī buniyād rakh chale

is se ġharaz nahīñ hai ki ta.amīr kuchh bhī ho

chhāyā huā hai arz-o-samā par mirā shu.ūr

‘shāhid’ kareñge zehn kī tasḳhīr kuchh bhī ho

Leave a Comment