kuchh batao to sahi ab ke tamasha kya hai
honT par taale lage sab ke tamasha kya hai
dil ke ik moḌ pe rahta hai tamanna ka hujum
jaane vaale to ga.e kab ke tamasha kya hai
zulm Dhaao ya bana Daalo mohabbat ka safir
ham nahin rahte kahin dab ke tamasha kya hai
jis ki ḳhamoshi se nikla hai sahar ka suraj
ham musafir hain usi shab ke tamasha kya hai
rang maddham hain magar pyaar ki ḳhushbu na ga.i
phuul taaza hain tiri chhab ke tamasha kya hai
dard ke saaz pe ham ne bhi ghazal-ḳhvani ki
giit likkhe hain tire lab ke tamasha kya hai
tum to duniya ho badalna hai vatira tera
ham kahan bande tere Dhab ke tamasha kya hai
sirf tum hi to bulandi pe nahin ho taaro
ham bhi ‘manzar’ hain usi rab ke tamasha kya hai
Leave a Reply