lamha lamha shumar karta huun
aap ka intizar karta huun
ḳhar-zar-e-hayat men rah kar
main baharon se pyaar karta huun
zard chehron udaas ankhon par
apni ḳhushiyan nisar karta huun
mujh sa nadan koi kya hoga
aap par e’tibar karta huun
dekh kar nuur nuur chehron ko
mid.hat-e-kirdgar karta huun
koi samjhe na dil ki baat agar
ḳhamushi iḳhtiyar karta huun
main mohabbat ke naam par ‘rif.at’
gham-nasibon se pyaar karta huun
Leave a Reply