
Poet
ḳhayal men hai jo chehra nazar bhi aa.ega
vo apne ghar se kabhi mere ghar bhi aa.ega
bichhaḌte vaqt ka manzar bhi dhyan men rakhna
safar men kaam ye raḳht-e-safar bhi aa.ega
nikal to aa.e hain zindan-e-tirgi se magar
ye sochte hain hamen kuchh nazar bhi aa.ega
sabhi na ghar ke darichon se bach ke guzrenge
hava ka koi to jhonka idhar bhi aa.ega
malal saya-e-divar-o-dar abhi se kya
ye marhala to sar-e-rahguzar bhi aa.ega
miri nava to kabhi ra.egan nahin jaati
agar vo ghar men hua baam par bhi aa.ega
kise guman tha ‘ḳhavar’ vahan ki miTTi men
yahan ki ab-o-hava ka asar bhi aa.ega

Leave a Reply