dard ki ḳhushbu se saara ghar mo.attar ho gaya
zaḳhm kha kha kar badan phulon ka paikar ho gaya
ma.il-e-parvaz har lahza hai murgh-e-justuju
main jo siḌhi par chaḌha vo aur uupar ho gaya
gauhar-e-ummid laa.en kis athah men Duub kar
ham jo ghota-zan hue gahra samundar ho gaya
tirchhe suraj ki shua.en de ga.iin ik ham-safar
mera saaya hi mire qad ke barabar ho gaya
ham shafaq ko dekh kar tarikiyon men kho ga.e
aag chhat par thi dhuan kamre ke andar ho gaya
peḌ par baiThe parindon par guman patton ka tha
dam-zadan men aankh se ojhal vo manzar ho gaya
sub.h ka aghaz tha aur chehre par thi gard-e-shab
phuul ki surat shagufta main naha kar ho gaya
main samajhta tha ta.aqub men faqat hain vahme
lauT kar dekha magar jis ne bhi patthar ho gaya
sang paani men gira kar dekh lo ubhregi lahr
baat aisi thi ki main aape se bahar ho gaya
jin daraḳhton ki ghani chhanv thi vo sab kaT ga.e
yuun laga ‘shahid’ mujhe jaise main be-ghar ho gaya
Leave a Reply