• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / bhaDak uTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein

bhaDak uTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein

bhaḌak uTThenge sho.ale ek din duniya ki mahfil men

kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil men

lahu rone lagenge saz-e-ishrat chheḌne vaale

are ye dard avaz-e-shikast-e-shisha-e-dil men

ye chhinTen ḳhuun ki kaafi hain mere baḳhshavane ko

nazar aati hai jannat vus.at-e-daman-e-qatil men

abad tak kaukab-e-baḳht-e-sa.adat ban ke chamkenge

hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil men

junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne vaale

mabada farq aa.e ishq ki tadbir-e-manzil men

hazaron saal soz-e-dil ne ki thi dozaḳh-ashami

qadam rakhte hi mere lag ga.i ik aag mahfil men

magar bhule nahin ho yaad ab tak ‘abr-o-‘hamid’ ki

‘aziz’ aḳhir vo quvvat kyuun nahin baaqi rahi dil men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Meri KHamoshi Hi Kaam Aai Kaha Jata Hai

Mizhgan Hain Ghazab Abru-E-KHamdar Ke Aage

Kaun Kahta Hai Main Adhuri Hun

DhunDhne Se Yun to Is Duniya Mein Kya Milta Nahin

Ham-Safar Ban Ke Agar Sath Bhanwar Jaenge

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet