us ko jaate hue dekha tha pukara tha kahan
rokte kis tarah vo shaḳhs hamara tha kahan
thi kahan rabt men us ke bhi kami koi magar
main use pyara tha par jaan se pyara tha kahan
be-sabab hi nahin murjha.e the jazbon ke gulab
tu ne chhu kar gham-e-hasti ko nikhara tha kahan
biich manjhdar men the is liye ham paar lage
Dubne ke liye koi bhi kinara tha kahan
aḳhir-e-shab miri palkon pe sitare the ka.i
lekin aane ka tire koi ishara tha kahan
ye tamanna thi ki ham us pe luTa den hasti
ai ‘ziya’ us ko magar itna gavara tha kahan
Leave a Reply