saans lena bhi baar hota hai
jab tira intizar hota hai
aata hai jab bahar ka mausam
jab junun ustuvar hota hai
zikr kya daman-o-gareban ka
pairahan taar taar hota hai
aap rone se man.a karte hain
rone par iḳhtiyar hota hai
hai haqiqat yahi ki har chehra
dil ka aina-dar hota hai
ai mire dil sukun sukun hai magar
intishar intishar hota hai
raas aati nahin ḳhushi us ko
jis ko gham nagavar hota hai
sun ke ‘ajiz’ vo sar-guzasht miri
jaane kyuun ashk-bar hota hai
Leave a Reply