• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm-E-Qatil Hamein Kyunkar Na Bhala Yaad Rahe

Chashm-E-Qatil Hamein Kyunkar Na Bhala Yaad Rahe

sheikh-ibrahim-zauq

chashm-e-qatil hamen kyunkar na bhala yaad rahe

maut insan ko lazim hai sada yaad rahe

mera khuun hai tire kuche men baha yaad rahe

ye baha vo nahin jis ka na baha yaad rahe

kushta-e-zulf ke marqad pe tu ai laila-vash

bed-e-majnun hi laga ta-ki pata yaad rahe

khaksari hai ajab vasf ki juun juun ho siva

ho safa aur dil-e-ahl-e-safa yaad rahe

ho ye labbaik-e-haram ya ye azan-e-masjid

mai-kasho qulqul-e-mina ki sada yaad rahe

yaad us vada-faramosh ne ghairon se badi

yaad kuchh kam to na thi aur siva yaad rahe

khat bhi likhte hain to lete hain khatai kaghaz

dekhiye kab tak unhen meri khata yaad rahe

do varaq men kaf-e-hasrat ke do aalam ka hai ilm

sabaq-e-ishq agar tujh ko dila yaad rahe

qatl-e-ashiq pe kamar bandhi hai ai dil us ne

par khuda hai ki use naam mira yaad rahe

taer-e-qibla-numa ban ke kaha dil ne mujhe

ki tadap kar yuun hi mar jaega ja yaad rahe

jab ye din-dar hain duniya ki namazen padhte

kaash us vaqt unhen nam-e-khuda yaad rahe

ham pe sau baar jafa ho to rakho ek na yaad

bhuul kar bhi kabhi hove to vafa yaad rahe

mahv itna bhi na ho ishq-e-butan men ai ‘zauq’

chahiye bande ko har vaqt khuda yaad rahe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-hamid-adam

Aata Hai Kaun dard Ke Maron Ke Shahr Mein

Har Dam Ki Kashmakash Se Nikal Rasta Badal

poet

Gham Ke Maron Ka Hai Sahaara Chand

Aag Ke Sath Hi Pani Bhi Baham Rakhna Tha

Maine Ye Jab Suna to Mera Dil Dahal Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet