ham kya ki hadd-e-nazar tak sarab ki surat
na ḳhaak ḳhaak na ab aab aab ki surat
khula tha main bhi kabhi ik gulab ki surat
tamam umr jala aftab ki surat
kinara kaaT raha huun vajud ka apne
paTak raha huun main sar mauj-e-ab ki surat
zaban jo suukh rahi hai to kuchh sabab bhi hai
samundaron men raha huun habab ki surat
barun-e-shahar hi kya ki darun-e-shahar bhi hai
sulagte lamhon ka suraj itaab ki surat
ye ḳhali ḳhali si shab lamha-e-siyah se bhari
dikha.i tak nahin deti hai ḳhvab ki surat
zamin-e-jism ke andar jo zalzale hain bapa
unhen chhupa.egi kab tak janab ki surat
Leave a Reply