• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Kaun Si disha Kahan Ki disha

Kaun Si disha Kahan Ki disha

ahmad-hamesh

khatme se pahle agar khatm hona hai to samajh lo ki khatma ho chuka hai

silai machine par meri aurat ki niind men soi girna

mere maqsum ka virana hai

havas bahut hai qisson par bhari hain

havas jante hain kaha nahin jante hue bhi sabhi jante hain

ki duniya paida hi nahin hui

jis men bhediye na hon sirf khargosh rah rahe hon

vo dekho vo koi safed khargosh hi to hai

jo abhi abhi is jhadi se uchhal ke is jhadi tak gaya hai

magar us ki safedi men thiik us ki gardan ki jagah

bhediye ke daant lagne se gahre khuun ka muqaddar laga hai

is tarah muqaddar ko khuun ke dhabbe men dekhna

kahan ki duniya hai

kya kabhi aisa hua ki maut ne apni ghiza men khud ko khaya

us chitrkar ko bula sako to bulao

zara jald bulao

ki vo kahin aur nahin hoga

chemistry ke shoabe men hoga

ki jahan rakhe hue har rang men us ke apne kimiyai aaseb ka basera hai

ham kisi na kisi rang ko khud taari hone ki davat dete hain

aur is ke aaseb se apni jild nuchvate hain

shiryanon ko udhadvate hain

har rang men basera karne vaale aaseb ne hamari mohabbat hi to khaya

is liye to main sote apne bete ko nahin jagata

ki vo har roz motor-cycle men petrol ki jagah

apne hisse ki bedari aur niind donon ko ek saath daal deta hai

is liye men der tak soti apni beti ko nahin jagata

ki vo kitchen men chaae banane ki abdiyat ko bhi

chaae ki pyali men undel deti hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Fasl-E-Gul Tohmat-E-Junun Lai

Aatish-E-Husn Se Ek Aab Hai ruKHsaron Mein

Ghar Mein Chandi Ke Koi Sone Ke Dar Rakh Jaega

ahmad-ameer-pasha

Zard Chehron Pe Shadmani de

Ungliyon Se miTTi Mein Suraten Banate Ho

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet