girta raha main raah men lekin sambhal gaya
main aaj kis maqam ki janib nikal gaya
socha kiya tha raah ye asan hai magar
pahle qadam pe paanv mira kyuun phisal gaya
adna sa ik fareb tha badla jo ye libas
aafat to tab padi ki main jab khud badal gaya
ankhen thi sharmsar kahin chain bhi nahin
us ke magar khayal se ye dil bahal gaya
ho gar khata saza ka muqarrar hai ek din
‘naqid’ zahe-nasib ki vo vaqt tal gaya
Leave a Reply