karenge shikva-e-jaur-o-jafa dil khol kar apna
ki ye maidan-e-mahshar hai na ghar un ka na ghar apna
makan dekha kiye muḌ muḌ ke ta-hadd-e-nazar apna
jo bas chalta to le aate qafas men ghar ka ghar apna
bahe jab aankh se aansu baḌha soz-e-jigar apna
hamesha menh baraste men jala karta hai ghar apna
pasina ashk hasrat be-qarari aḳhiri hichki
ikaTTha kar raha huun aaj saman-e-safar apna
ye shab ka ḳhvab ya-rab fasl-e-gul men sach na ho jaa.e
qafas ke samne jalte hue dekha hai ghar apna
dam-e-aḳhir ilaj-e-soz-e-gham kahne ki baten hain
mira rasta na roken rasta len chara-gar apna
nishanat-e-jabin josh-e-aqidat ḳhud bata denge
na puchho mujh se sajde ja ke dekho sang-e-dar apna
javab-e-ḳhat ka un ke samne kab hosh rahta hai
batate hain pata mere baja.e nama-bar apna
mujhe ai qabr duniya chain se rahne nahin deti
chala aaya huun itni baat par ghar chhoḌ kar apna
shikan-alud bistar har shikan par ḳhuun ke dhabbe
ye hal-e-sham-e-gham likkha hai ham ne ta-sahar apna
yahi tir-e-nazar to hain mire dil men hasinon ke
jo pahchano to lo pahchan lo tir-e-nazar apna
‘qamar’ un ko na aana tha na aa.e sub.h hone tak
shab-e-va.ada sajate hi rahe ghar raat bhar apna
zamin mujh se munavvar asman raushan mire dam se
ḳhuda ke fazl se donon jagah qabza ‘qamar’ apna
Leave a Reply