ai khub-ru farishta siyar-anjuman men aa
sarv-e-ravan-e-husn hamare chaman men aa
munh bandh kar kali sa na rah mere paas tu
khandan ho kar ke gul ki sifat tuk sukhan men aa
ushshaq jan-ba-kaf khade hain tere as-pas
ai dil-ruba-e-gharat-e-jan apne fan men aa
duuri na kar kanar suun meri tu ai huma
kab lag rahega duur tak apne vatan men aa
tere milap bin nahin ‘faez’ ke dil ko chain
jiyun ruuh ho basa hai tu us ke badan men aa
Leave a Reply