kahin ja.un ta.alluq ka sitara chalta rahta hai
mire hamrah ye kis ka ishara chalta rahta hai
basirat kho ga.i lekin tavaqqo.a hai basharat ki
kisi ke naam ka ab bhi sahara chalta rahta hai
ab ik qatra bhi dil ki jhiil men paani nahin rahta
magar kya kijiye tab bhi shikara chalta rahta hai
kahan tum arzuon ki haveli DhunDne nikle
yahan to be-panahi men guzara chalta rahta hai
ham apne doston par naaz kuchh yunhi nahin karte
ki zikr-e-ḳhair ho ya bad hamara chalta rahta hai
kaleja hai to maidan-e-amal men aa kitaben likh
adab ke kaam men pyare ḳhasara chalta rahta hai
kabhi aao to dikhla.en karishma tum ko dariya ka
ki maujen munjamid hain aur kinara chalta rahta hai
Leave a Reply