• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka

Mohabbat Mein Ek Aisa Bhi Maqam Aata Hai Mushkil Ka

poet

mohabbat men ik aisa bhi maqam aata hai mushkil ka

jahan ḳhud dil hi ban jaata hai dushman hasti-e-dil ka

nazar kaisi ḳhayalon se hai uncha silsila dil ka

pata ḳhud puchhta hai ishq mujh se meri manzil ka

har ik karvaT pe dard-e-ishq ki taḌpa nahin jaata

kahan tak saath degi zindagi be-tabi-e-dil ka

miri ankhon men maujen hain miri nazron men tufan hai

safina mera parvarda nahin aghosh-e-sahil ka

miri zauq-e-ḳhalish ik mustaqil duniya-e-rahat hai

ki har ik ḳhaar pe hota hai dhoka mujh ko manzil ka

maze tanha.iyon ke bhi kabhi aate hain mahfil men

kabhi tanha.iyan bhi lutf de jaati hain mahfil ka

pila saghar nigah-e-mast se bhi kaam le saaqi

mujhe ehsas kuchh hone laga hai haqq-o-batil ka

agar samjho to har qatra mohabbat ki kahani hai

nahin ye ashk ik paigham hai TuuTe hue dil ka

sada-e-shauq-e-nazzara na saz-e-be-niyazi hai

bas ik naghma faza men gunjta hai parda-e-dil ka

tire dar par mujhe ye fitrat-e-majbur laa.i hai

na jaane aaj kis duniya men aalam hai mire dil ka

gham-e-pinhan ke parde men nashat-e-kamrani hai

zamane se alag haT kar zamana hai mire dil ka

junun ki azmaten mujh ko ‘munir’ aghosh men lengi

tavaf apni nigahen kar rahi hain us ki mahfil ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Muddat Se Jo Band paDa Tha Aaj Wo Kamra Khol Diya

Bewafa Hun Na Wafadar Hun Main

poet

Hum Chal Diye to Raste Hamwar Ho Gae

rahat-indori

Ja Ke Ye Kah de Koi Shoalon Se Chingari Se

jaun-eliya

Shayad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet