laboñ par tishnagī āñkhoñ meñ hai barsāt kā aalam
ki tanhā kaise guzregā batā jazbāt kā aalam
safar ḳhushbū bane aur rāste āsān ho jaa.eñ
nigāhoñ meñ samā jaa.e jo terī zaat kā aalam
bulandī par khaḌe ho kar miyāñ hairān se kyoñ ho
samajh meñ aa gayā shāyad anokhī maat kā aalam
judā honā rag-e-jāñ se bhalā āsān hī kab thā
mire har har nafas meñ ghul gayā sakrāt kā aalam
agar haiñ niyyateñ shaffāf aur dil meñ hai gunjā.ish
sulajh kar kyuuñ nahīñ detā ye uljhī baat kā aalam
maiñ uñglī phertā huuñ jab kabhī bhīge se sāhil par
banā detā hai tasvīreñ tirī zarrāt kā aalam