chhalak ke kam na ho aisi koi sharab nahin
nigah-e-nargis-e-raana tira javab nahin
zamin jaag rahi hai ki inqalab hai kal
vo raat hai koi zarra bhi mahv-e-khvab nahin
hayat-e-dard hui ja rahi hai kya hoga
ab is nazar ki duaen bhi mustajab nahin
zamin us ki falak us ka kaenat us ki
kuchh aisa ishq tira khanuman-kharab nahin
abhi kuchh aur ho insan ka lahu paani
abhi hayat ke chehre par ab-o-tab nahin
jahan ke baab men tar damanon ka qaul ye hai
ye mauj marta dariya koi sarab nahin
dikha to deti hai behtar hayat ke sapne
kharab ho ke bhi ye zindagi kharab nahin
Leave a Reply