agar main janta hai ishq men dhadka judai ka
to jiite ji na leta naam hargiz ashnai ka
jo ashiq saaf hain dil se unhin ko qatl karte hain
bada charcha hai mashuqon men ashiq-azmai ka
karun ik pal men barham kar-khane ko mohabbat ke
agar aalam men shohra duun tumhari bevafai ka
jafa ya mehr jo chahe so kar le apne bandon par
mujhe khatra nahin hargiz burai ya bhalai ka
na pahuncha ah-o-nala gosh tak us ke kabhu apna
bayan ham kya karen taale ki apne na-rasai ka
khudaya kis ke ham bande kahaven sakht mushkil hai
rakhe hai har sanam is dahr men daava khudai ka
khuda ki bandagi ka ‘soz’ hai daava to khilqat ko
vale dekha jise banda hai apni khud-numai ka
Leave a Reply