kaḌhav rakh ke taḳhayyul pe asman tale
yaqin ke tel men logon ne sab guman tale
aqidaton ka ajab falsafa hai kya kiya jaa.e
ki is men ungliyan dab jaati hain kaman tale
zaban aag sahi dil hamara jal-thal hai
tapish pahunchti nahin lau ki sham.a-dan tale
fasad bala-nashinon ki shah pe hota hain
vagarna rahte nahin daant kya zaban tale
shu.ur masnad-e-auham par hai jalva-fagan
kabhi biThao haqiqat ke sa.eban tale
Leave a Reply