ishq par zor chal nahin sakta
dil sambhale sambhal nahin sakta
aa ke duniya men inqalab koi
dil ki duniya badal nahin sakta
un ki nazren badal ga.iin varna
yuun zamana badal nahin sakta
rang-e-hasti hai inqalab agar
rang-e-hasti badal nahin sakta
aa gaya huun vahan se ghabra kar
ab kahin dil bahal nahin sakta
ishq ki aag men jo jalta hai
vo jahannum men jal nahin sakta
vo nigahen badal ga.iin ‘bismil’
ab zamana badal nahin sakta
Leave a Reply