usi ke jalve the lekin visal-e-yar na tha
main us ke vaste kis vaqt be-qarar na tha
koi jahan men kya aur tarah-dar na tha
tiri tarah mujhe dil par to ikhtiyar na tha
khiram jalve ke naqsh-e-qadam the lala-o-gul
kuchh aur us ke siva mausam-e-bahar na tha
vo kaun nala-e-dil tha qafas men ai sayyad
ki misl-e-tir-e-nazar asman shikar na tha
ghalat hai hukm-e-jahannam kise hua hoga
ki mujh se badh ke to koi gunahgar na tha
vafur-e-be-khudi-e-bazm-e-mai na puchho raat
koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha
lahad ko khol ke dekho to ab kafan bhi nahin
koi libas na tha jo ki mustaar na tha
to mahv-e-gul-ban-o-gulzar ho gaya ‘asi’
tiri nazar men jamal-e-khayal-e-yar na tha
Leave a Reply