• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khair Yunhi Sahi Taskin Ho Kahin Thodi Si

Khair Yunhi Sahi Taskin Ho Kahin Thodi Si

poet

khair yunhi sahi taskin ho kahin thodi si

”han” to kahte ho magar saath ”nahin” thodi si

hal-e-dil sun ke mira barsar-e-rahmat to hain kuchh

abhi baaqi hai magar chin-e-jabin thodi si

hui jaati hai sahar aisa bhi ghabrana kya

raat gar hai bhi to ai mah-jabin thodi si

jam-e-mai dekh ke labrez kis andaz ke saath

us ka kahna ki nahin, itni nahin, thodi si

be-khudi ye dam-e-rukhsat thi ki sab kuchh bhula

un ki baten bhi mujhe yaad rahin thodi si

ab ye paigham kisi ka koi le kar jaae

abhi lab par hai mire jan-e-hazin thodi si

yuun to tum roz hi kahte ho sabhi kuchh mujh se

aaj ki baat hui zehn-nashin thodi si

un se kuchh kah na saka main shab-e-gham ki baten

go ki bhula tha magar yaad bhi thiin thodi si

bosa to us lab-e-shirin se kahan milta hai

galiyan bhi milin ham ko to milin thodi si

ab to sab ka tire kuche hi men maskan thahra

yahi abad hai duniya men zamin thodi si

utthe jaate hain hamin aap na baithen khamosh

aap ki baat samajhte hain hamin thodi si

yaad kuchh aa ke ye halat hui meri ki na puchh

pichhli ghadiyan shab-e-gham ki jo rahin thodi si

subh tak shaam se vo go ki rahe paas mire

hasraten dil ki magar rah hi gaiin thodi si

koste kya ho abhi hote hain ham shadi-e-marg

gar mile dafn ko kuche men zamin thodi si

sab mira haal vahan kaise kahega qasid!

tu to sunta hai miri baat nahin thodi si

daulat-e-faqr se sab ho gai taskin ‘nizam’

ab karen kya talab-e-taj-o-nagin thodi si

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Is Haal Mein Jite Ho to Mar Kyun Nahin Jate

poet

Chhod Kar Mujhko Chali Ai Bewafa Main Bhi To Hun

Apni Taqdir Ko piTe Jo Pareshan Hai Koi

poet

Jhuka Sake Na Mujhe Hadse Mohabbat Ke

poet

Swad-E-Gham Ho Ya Bazm-E-Tarab Kuchh Bhi Nahin Hota

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet