firaq men khun-e-dil hain piite sharab ham le ke kya karenge
hamara dil aap bhun raha hai kabab ham le ke kya karenge
jo un se kahta huun yaar hazir hai ye hamara dil-e-shikasta
to hans ke kahte hain naaz se vo janab ham le ke kya karenge
nahin hai fursat yahin ke jhagdon se fikr-e-uqba kahan ki vaaiz
azab-e-duniya hai ham ko kya kam savab ham le ke kya karenge
saval be-sud jante hain rahen na khamosh to karen kya
evaz men bose ke tum se sahab javab ham le ke kya karenge
ye qaul hai rahmat-e-khuda ka daro na tum ai gunah-garo
shumar-e-isyan agar nahin hai hisab ham le ke kya karenge
Leave a Reply