dar talak jaane ki hai us ke manahi ham ko
apni bas ab nazar aati hai tabahi ham ko
roz jun-tun ki hua shaam to phir behtar azaab
nazar aai shab-e-hijran ki siyahi ham ko
ham to jaane ka irada nahin karte lekin
vo kamar su-e-adam karti hai raahi ham ko
kyuun tire chah-e-zanakhdan ka na nazzara karen
ji se bhata hai bahut sabza-e-chahi ham ko
dam-e-bar-dosh hi makhluq kiya khaliq ne
taqat udne ki na di juun par-e-mahi ham ko
parda padta jo nahin us se khush-andami par
pyara lagta hai tira kurta-e-lahi ham ko
umr bhar sher kahe ham ne pa tu ne ai ishq
na to huzni hi kiya aur na aahi ham ko
‘mushafi’ ilm-e-lughat se hai jinhen agahi
jante hain vo abu-nasr-farahi ham ko
Leave a Reply