dhyan ka raahi ruk ruk kar pichhe takta hai
biite lamhe yaad aate hain dil rota hai
band dariche saf-basta gum-sum divaren
shahar ki virani se mujh ko ḳhauf aata hai
jaane logon ki avazen kya kahti hain
jaane har janib kyuun gahra sannaTa hai
kahte hain aa aa ke mujh ko unTon vaale
sahra men bijli chamki hai menh barsa hai
baḌhte hi jaate hain divaron ke saa.e
dhuup ka sundar jauban ab Dhalta jaata hai
pahron baiTha un ki baton ko sunta huun
kaghaz ki tasviron se ji ḳhush hota hai
hamdam aise log kahan se DhunDh ke la.un
jin ki baton se dil ka ghuncha khilta hai
Leave a Reply