nazar nichi hai yar-e-ḳhush-nazar ki
karamat hai ye meri chashm-e-tar ki
mubarak tujh ko ai sarv-e-ḳhiraman
javani dhuup jaise dopahar ki
usi ko lutf aaya zindagi ka
junun men zindagi jis ne basar ki
yahan parvaz ke adab sikho
asiri tarbiyat hai bal-o-par ki
safar kaTta hai akasr be-ḳhudi men
ada.en yaad hain ik ham-safar ki
ḳhusha ai soz-e-gham teri badaulat
duaon par inayat hai asar ki
vo ḳhush hain ‘vajd’ arz-e-hal kar le
yahan fursat nahin arz-e-hunar ki
Leave a Reply