• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aa Ke Sajjada-Nashin Qais Hua Mere Baad

Aa Ke Sajjada-Nashin Qais Hua Mere Baad

poet

aa ke sajjada-nashin qais hua mere baad

na rahi dasht men khali koi ja mere baad

miyan men us ne jo ki tegh-e-jafa mere baad

khun-girafta koi kya aur na tha mere baad

dosti ka bhi tujhe paas na aaya he he

tu ne dushman se kiya mera gila mere baad

garm-bazari-e-ulfat hai mujhi se varna

koi lene ka nahin nam-e-vafa mere baad

munh pe le daman-e-gul roenge murghan-e-chaman

baagh men khaak udaegi saba mere baad

chaak isi gham se gareban kiya hai main ne

kaun kholega tire band-e-qaba mere baad

ab to hans hans ke lagata hai vo mehndi lekin

khuun rula dega use rang-e-hina mere baad

main to gulzar se dil-tang chala ghuncha-ravish

mujh ko kya phir jo koi phuul khila mere baad

vo hava-khvah-e-chaman huun ki chaman men har subh

pahle main jaata tha aur bad-e-saba mere baad

sun ke marne ki khabar yaar mire ghar aaya

yaani maqbul hui meri vafa mere baad

zabh kar ke mujhe nadim ye hua vo qatil

haath men phir kabhi khanjar na liya mere baad

meri hi zamzama-sanji se chaman tha abad

kiya sayyad ne ik ik ko riha mere baad

aa gaya biich men us zulf ki ik main nadan

na hua koi giraftar-e-bala mere baad

qatl to karte ho par khuub hi pachhtaoge

mujh sa milne ka nahin ahl-e-vafa mere baad

barg-e-gul laai saba qabr pe meri na nasim

phir gai aisi zamane ki hua mere baad

gir pade aankh se us ki bhi yakayak aansu

zikr mahfil men jo kuchh mera hua mere baad

zer-e-shamshir yahi soch hai maqtal men mujhe

dekhiye ab kise laati hai qaza mere baad

shart-e-yari yahi hoti hai ki tu ne ‘ghafil’

bhuul kar bhi na mujhe yaad kiya mere baad

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

zafar-iqbal

Ilzam Ek Ye Bhi Utha Lena Chahiye

Gulu-E-Yazdan Mein Nok-E-Sinan Bhi TuTi Hai

fatima-hasan

Kya Kahun Us Se Ki Jo Baat Samajhta Hi Nahin

Badnam Ka Jahan Mein Sahaara Nahin Koi

kishwar-naheed

Meri Aankhon Mein dariya Jhulta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet