hai nur-e-ḳhuda bhi yahan irfan-e-ḳhuda bhi
ye zaat ki hai vadi-e-sina bhi hira bhi
us ban men kiya karti hai tap meri ana bhi
is shahar men hai kar-gah-e-arz-o-sama bhi
karta huun tavaf apna to milti hai na.i raah
qibla bhi hai ye zaat mira qibla-numa bhi
ḳhud-agahi o ḳhud-nigahi ka hai ye in.aam
aur jurm-e-shanasa.i-e-alam ki saza bhi
hota hai shab-o-roz tamasha sar-e-ehsas
jo dekhti rahti hai miri aankh dikha bhi
karti hai kamar-basta safar par bhi yahi zaat
jab duur nikal jaata huun deti hai sada bhi
zarre men hai kaunain to kaunain men zarra
kuchh hai tujhe avara-e-aflak pata bhi
Leave a Reply