• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aqaed Wahm Hain Mazhab Khayal-E-Kham Hai Saqi

Aqaed Wahm Hain Mazhab Khayal-E-Kham Hai Saqi

sahir-ludhianvi

aqaed vahm hain mazhab khayal-e-kham hai saaqi

azal se zehn-e-insan basta-e-auham hai saaqi

haqiqat-ashnai asl men gum-karda raahi hai

urus-e-agahi parvurda-e-ibham hai saaqi

mubarak ho zaifi ko khirad ki falsafa-rani

javani be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saaqi

havas hogi asir-e-halqa-e-nek-o-bad-e-alam

mohabbat mavara-e-fikr-e-nang-o-nam hai saaqi

abhi tak raste ke pech-o-kham se dil dhadakta hai

mira zauq-e-talab shayad abhi tak khaam hai saaqi

vahan bheja gaya huun chaak karne parda-e-shab ko

jahan har subh ke daman pe aks-e-sham hai saaqi

mire saghar men mai hai aur tire hathon men barbat hai

vatan ki sar-zamin men bhuuk se kohram hai saaqi

zamana barsar-e-paikar hai pur-haul shoalon se

tire lab par abhi tak naghma-e-khayyam hai saaqi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hamari Aankh Mein Thahra Hua Samundar Tha

Hina Ke Qaus-E-Quzah Ke Shajar Ke Kya Kya Rang

Sheikh Saadi

Story 21 – The Manners Of Kings – Gulistaan-e-Sa.Adii

Sukut Us Ka Hai Sabr-E-Jamil Ki Surat

Aag Jo Dil Mein Lagi Hai Wo Bujha Di Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet