Be-Dilon Ki Aabru Rah Jaegi

be-diloñ kī aabrū rah jā.egī

dil na hogā aarzū rah jā.egī

tāqat-e-dīdār kitnī hī sahī

phir bhī tere rū-ba-rū rah jā.egī

DhūñDne vaalā hī ḳhud kho jā.egā

justujū hī justujū rah jā.egī

ḳhūn-e-dil ko kuchh agar taufīq ho

chashm-e-tar kī aabrū rah jā.egī

be-mahābā us ko ai ‘nātiq’ na dekh

ārzū-e-guftugū rah jā.egī

Leave a Comment