kitna mushkil tha ye rasta kaun likhega
puuri baat aur puura qissa kaun likhega
din aur raat ke aadhe aadhe baTvare men
kitna kam tha kis ka hissa kaun likhega
kin hathon ne kaise kaise patthar kaaTe
kaise din ka bojh uThaya kaun likhega
kitni der ko hariyali ne ankhen kholin
kitni der ko badal barsa kaun likhega
jangal men gum ho jaane vaale raste par
kitni dhuup thi kitna saaya kaun likhega
shahr jala to kis ne us ki raakh sameTi
kitna tha kis ka sarmaya kaun likhega
girti divaron men saans kahan thi baaqi
aur kahan tak bikhra malba kaun likhega
Leave a Reply