rah ke ḳhamosh bhi elaan bahut karta hai
aa.ina chehron ka nuqsan bahut karta hai
aao sahra men ye divane se chal kar puchhen
phuul kyuun chaak gareban bahut karta hai
raushni likh nahin sakta kisi qismat men charagh
raat aati hai to ehsan bahut karta hai
aao ab aql ki mizan pe tolen us ko
vo vafadari ka elaan bahut karta hai
ye naya daur jo ehsan to karta hi nahin
aur sharminda-e-ehsan bahut karta hai
suuni rah jaa.en jo shaḳhen to gila bhi na kare
vo parindon ko pareshan bahut karta hai
aaj ‘saulat’ ki ye pahchan bahut kaafi hai
dil-o-jan aap pe qurban bahut karta hai
Leave a Reply