raste ka intikhab zaruri sa ho gaya
ab ikhtitam-e-bab zaruri sa ho gaya
ham chup rahe to aur bhi ilzam aaega
ab kuchh na kuchh javab zaruri sa ho gaya
ham talte rahe ki ye naubat na aane paae
phir hijr ka azaab zaruri sa ho gaya
har shaam jald sone ki aadat hi pad gai
har raat ek khvab zaruri sa ho gaya
aahon se tutta nahin ye gumbad-e-siyah
ab sang-e-aftab zaruri sa ho gaya
dena hai imtihan tumhare firaq ka
ab sabr ka nisab zaruri sa ho gaya
Leave a Reply