bikhre bikhre din hote hain raten jaaga karti hain
galiyan thak kar so jaati hain saḌken jaaga karti hain
ghussa shoḳhi aadat qisse sab pichhe chhuT jaata hai
log chale jaate hain un ki baten jaaga karti hain
jab se mohabbat hoti hai is men dam aTka rahta hai
jism bikhar jaata hai lekin ankhen jaaga karti hain
vasl ke lamhon men saare lafz aur zaban so jaate hain
kamre ki tanha.i men bas sansen jaaga karti hain
beTe avaragardi men rahte hain mashghul magar
nala.eq beTon ki ḳhatir maa.en jaaga karti hain
Leave a Reply